SMS in shayari, funny shayari, love shayari, urdu shayari


khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote

Posted in Aansoo, Dard Shayari, Dil, SMS Shayari, Sad Shayari, dard-e-judai, shayari by shanee on the April 22, 2007

khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe
rota hai dil aur toot jate hain sapne
ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne

Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho

Posted in Dard Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari, shayari, yaad by shanee on the April 22, 2007

Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho…
Na Bantey Hoo, Sanwertey Ho…
Na Koi baat Kartey Ho…
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar!
Hamesha Khoye Rehtey Ho…
Udasi Ankh Main Bharr Kar…
Har Ik Chehrey Ko Taktey Ho!
Koi jab Yaad Ata Ha…
To Thandee Aah Bhartey Ho!
To Khul Kar Kyun Nahin Kehtey…
Kisi Sey Pyaar kartey ho ……

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye

Posted in Aansu, Dard Shayari, dard-e-judai, yaad by shanee on the April 21, 2007

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye

Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye

Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai

Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !

Dard ki raah hai

Posted in Dard Shayari by shanee on the April 21, 2007

Dard ki raah hai
har taraf hai andhere koi raasta bhi nahin?
Hum ne apno se hi chot aisi khai hai
baat gairo ki hoti to dil yeh tadpta bhi nahin?
robaro baitha hai koi apna magar apna bhi nahin?
Jiski khatir hum aaye the akele yaha tak
Raaste bhar main uska koi nishan bhi nahin?
Ajnabee hai yeh shair ajnabee hai yeh log
Mera apna jo yaha chopa hai WO dikhta bhi nahin?
Hum akele chale to koi saath na tha
Teri hasrat kare ruswa mujhe
Raaz aisa hai ke chupta bhi nahin?
Itne gham sine main hum ne chupai hai (Naam)
Ke ab aasoo bhi sukha hai jo barasta bhi nahin?